Gmail Account Kaise Banaye Hindi Me Jane Puri Jankari

Aaj ki post me mai aapko bahut hi important jankari dunga kyuki aaj mai aapko bataunga ki gmail id kaise banate hai kyuki aap ye to jante hi hoge ki gmail id kitni important hai gmail id itni important hoti hai jitna ki aapka mind to aap ye to jante hi hoge ki ham kyu gmail id banana chahte hai jaise kuchh log blogging ke liye banana chahate hai to kuchh log online earn bussiness ke liye chahe jis liye bhi email gmail id banayi jaye lekin vo har online work me lagti hai to ab aap janege ki kaise ham gmail id bana sakte hai step by step
ISE BHI PADHE Smart phone Kar sakta Hai Ye 2 kaam jo shayad aap nahi jante
                   Sendearning.com se rupaye kaise kamaye 
Gmail Id Kaise Banaye
Step.1  gmail id banane ke liye sabse pahle aap google.com ko open kare




Step.2 jab aap google ko open karege to uski side me sign in likha hoga aap us per click kare jaise ki screen shot me dekhiye


Step.3 Ab ek Doosra page khulega usme aapko create account per click karana hai aap ooper  screen shot me dekhiye

Step.4 ab isme aapko apni sari jankari full tarike se bhare
1.First name me aap apna naam dale Example Mera Naam vishal rathour hai to mai first name me vishal Dalunga vaise hi aap dale
2.Last name me aap jo bhi apne naam ke sath lagate ho vo usme dal de
3.Ab aap jo bhi apna user name choose karana chahte ho vo apna dal de jaise mera naam vishal Rathour hai to mai usme vishalrathour dalunga vaise hi aap jo bhi dalna chahe dal sakte hai aur uske aage jo bhi sankhya lagana chahe vo bhi laga sakte hai lekin ye aap dhyan rakhe ki usme space nahi dena hai kahi per bhi
4.Create a password me jo bhi aap apna password rakhna chahe vo rakh sakte hai chahe vah sankhya me dale ya word me lekin iska password 8 word se kam ka nahi hona chahiye
5.Confirm your password me jo aapne create a password me dala tha vahi aap usme dal de
6.isme aap apni birthday date janmtithi dale
7.Gender me aap agar male hai to male select kare agar female hai to female select kare
8.Ab aap apna mobile number dale jo aap is samay chal raha ho
9.Your current email address me jo aapne username me dala tha vahi aap usme dal de
10.ab aap ok kar de

Step.5 ab ek new page open hoga is page ko aap puri tarah se padhe aur uske baad aap i agree per click kar de

Step.6 ab aapke samne doosra page open hoga usme aap continue per click kar de
 ab aapki gmail id ban gayi hai ab aapki jaha per bhi gmail id magi jaye vaha per aap apni gmail id dal diya karana ab agar aap chahate hai ki meri gmail id per kitne massage aaye hai aur aap apni gmail id ko dekhna chahte hai
Step.7 to ab aap fir se google.com per jaye


Step.8 side me gmail likha hoga aap usper click kare ge to aap apne gmail id me pahuch jaoge
To dosto aapko maine gmail id kaise banaye ke bare me bataya hai agar aapko hamari ye post achhi lagi ho to aap hame comment kare aur hamari post ko apne friends ke paas share kare aur agar aapko kisi bhi tarike ki koi problem aati hai to aap hame comment kare mai aapko puri jankari dunga 






































No comments

Powered by Blogger.